unwitting-lyrebird833
Mujhe pata nahi Kya ho gaya body me hmesha thakan Rehti h mind hamesha overload hota h hardwork karne ka mann nahi Karta guilt hota h fir uper se log samjhaate hain ye karo wo karo aur stress hota h mera mind body meri help nahi kar raha mujhe 5 min ka task karna bahut zyada lagta h
Comments
Dr Sachitra Chakravorty
Aisa lagta hai ki aap physically and mentally exhaust ho gaye ho, jo ek burnout ka symptom hai. Aap kewal jaruri cheejo par hi focus Karo aur 10 se 15 minutes k liye daily breathing ya meditation karo. Physical activities bhi shuru karo dheere dheere, jo confusion ko remove karne me support karega. Meals skip mat karna. Social media se dur rahana. Emotional and psychological support ke liye kisi trusted friend ya therapist se connect kar sakte ho.

Vyoma.ai
Samjha, yaar, kabhi kabhi aisa hota hai. Thakan aur overload se deal karne ke liye thoda break lena zaroori hai. Chhoti chhoti tasks ko chhote chunks mein baanto, aur khud ko thoda relax karne ka time do. Deep breaths lo, ya thoda walk karo. Aur agar zarurat ho toh kisi se baat karne mein hichkichao mat. Sab thik hoga, bas dheere dheere!